Subah Subah aankhein kholkar
Chehre par ek muskaan tu banata hai
Usi chamak se apne ghar ko
Ek firdaus tu banata hai
Khidki se jahaan ko pukaarkar
Ek paigaam tu sunata hai
Tazaah din aur tazaah lehron ko
Khushiyaan tu sikhata hai
Ghar se baahar nikalte hi
Thandi fiza tujhse milne aati hai
Use aaghosh mein lekar
Ek fasanah tu dohrata hai
Ek naya din hai aaj
Ek nayi shuruwat hai
Aaj ek naya tajurbah hoga
Ek naya afsana tu likhta hai
Din dhale, tu thak-haar kar
Apne ghar ki taraf kadam badata hai
Raaste mein har gulzaar se guzarkar
Ek rafeeq tu banata hai
Aashiyane apne pahaunchkar
Raahat mehsoos tu karta hai
Raat ki madhoshi mein ek hokar
Aaankhein bandh tu karta hai
Kal naya ek din phir aayega
Is soch ko dil mein bharta hai
Kisi ko phir ek muskurahat tu dega
Kisi ko ek pal ka sukoon milega
Koi tujhe milne ko thehra hoga
Koi teri raah mein khadaa rahega
Tere uthne ka intezaar tujhse zyada is aalam ko hai
Bas yahii hai zindagi
Jeena isiko kehte hain...